Kabhi-kabhi zindagi kisi ko aise mod par laa kar khada kar deti hai, jahaan umeed sirf doosron ki madad se hi zinda rehti hai.
Nayakadam Social Care Foundation un logon ke saath khada hota hai jo gareebi, bimari, bhookh aur majboori se akele lad rahe hote hain — chahe woh nanhe bachche ho, beemar log ho, ya besahara parivaar.
Aapka Chhota Daan, Bada Asar
Har din hum aise cases dekhte hain jahaan thodi si madad kisi ki jaan bacha sakti hai.
₹500 kisi zaruratmand ke liye dawa ban sakte hain
₹1000 kisi bachche ke ilaaj mein madad kar sakte hain
₹2000 ya ₹5000 kisi parivaar ko mushkil waqt se bahar nikaal sakte hain
Aap jitna bhi den, woh kisi ke liye zindagi ki sabse badi madad hoti hai.
Ek Naya Kadam – Insaniyat Ki Ore
Nayakadam ka matlab sirf madad nahi, balki umeed, sahara aur bharosa hai.
Haath jod kar nivedan hai, jitna aapse ho sake, zaruratmand logon ke liye ek naya kadam badhaiye.
Aaj aapki madad kal kisi ki zindagi ban sakti hai.
Donate karein. Duaein payein. Zindagi bachaiye.